Shahida lateef

hai mera rang-e-suKHan rang-e-bayan kuchh muKHtalif

Shahida lateef

hai mirā rañg-e-suḳhan rañg-e-bayāñ kuchh muḳhtalif
ye nashāt-e-dilbarī tarz-e-fuġhāñ kuchh muḳhtalif
dekhiye kis raah par chaltā rahā hai kārvāñ
haiñ hamāre rāstoñ par ye nishāñ kuchh muḳhtalif
jo hamāre zikr ko ham se bhī poshīda rakhe
ab hameñ bhī chāhiye ik rāz-dāñ kuchh muḳhtalif
ek an-jānī sī chup hai chaar sū phailī huī
chāhiye ai mehrbāñ! ik ham-zabāñ kuchh muḳhtalif
hai nashāt-e-vasl se sarshār aalam hī sabhī
ham magar is hijr meñ haiñ shādmāñ kuchh muḳhtalif
ham sunā.eñ 'shāhida' kis tarz se kis rañg se
hai kahānī muḳhtalif ye dāstāñ kuchh muḳhtalif
Top Urdushayar.com