Balraj Bakshi

kahan se manzar sameT lae nazar kahan se udhaar mange

Balraj Bakshi

kahāñ se manzar sameT laa.e nazar kahāñ se udhār māñge
rivāyatoñ ko na maut aa.e to zindagī intishār māñge
safar kī ye kaisī vus.ateñ haiñ ki rāsta hai na koī manzil
thakan kā ehsās bhī na utre qadam qadam rahguzār māñge
talāsh ke bāvajūd sach hai ki mere hisse meñ kuchh na aayā
ki maiñ ne ḳhushiyāñ hazār DhūñDīñ ki dard maiñ ne hazār māñge
agar vo denā hī chāhtā hai to manziloñ kā surāġh de de
agar use māñgnā hī Thahre to rāstoñ kā ġhubār māñge
kabhī achānak hī gher lete haiñ raah meñ nā-guzīr lamhe
koī kahāñ tak panāh DhūñDe koī kahāñ tak farār māñge
sazā.eñ tajvīz kar ke rakkho ye ek lamha-e-fikriya hai
ki koī 'balrāj' apnī marzī se jiine kā iḳhtiyār māñge
Top Urdushayar.com