kahīñ bhī zindagī apnī guzār saktā thā
vo chāhtā to maiñ dānista haar saktā thā
zamīn paañv se mere lipaT ga.ī varna
maiñ āsmān se taare utaar saktā thā
jalā rahī haiñ jise tez dhuup kī nazreñ
vo abr baaġh kī qismat sañvār saktā thā
ajiib mo.ajaza-kārī thī us kī bātoñ meñ
ki vo yaqīñ ke jazīre ubhār saktā thā
mire makān meñ dīvār hai na darvāza
mujhe to koī bhī ghar se pukār saktā thā
pur-itminān thiiñ us kī rifāqateñ 'balrāj'
vo aa.ine meñ mujhe bhī utaar saktā thā