na tīrgī ke liye haiñ na raushnī ke liye
shab-o-sahar ke taqāze haiñ bandagī ke liye
hamārā ḳhuun bhī hāzir hai ai ḳhirad-mando
tumhāre daur kī be-kaif zindagī ke liye
savād-e-shām to hai aam bazm-e-fitrat meñ
magar tulū-e-sahar hai kisī kisī ke liye
rah-e-talab meñ añdheroñ ko kosne vaalo
kisī ne dil bhī jalāyā hai raushnī ke liye
kuchh aa.ine bhī tirī anjuman meñ TuuTe haiñ
tire laboñ ke tabassum tirī ḳhushī ke liye
faqīh-e-shahr se merā salām kah denā
ki zindagī bhī ibādat hai zindagī ke liye
ridā-e-bint-e-inab ban ga.ī bisāt-e-nujūb
ye ehtimām hai 'rāje' kis aadmī ke liye