paiġhām-e-rihā.ī diyā har chand qazā ne
dekhā bhī na us samt asīrān-e-vafā ne
kah dūñgā jo kī pursish-e-āmāl ḳhudā ne
fursat hī na dī kashmakash-e-bīm-o-rajā ne
hai rashk-e-iram vādi-e-pur-ḳhār-e-mohabbat
shāyad use sīñchā hai kisī ābla-pā ne
ye ḳhufiya-nasībī ki hue aur bhī ġhāfil
naġhme kā asar ham pe kiyā shor-e-darā ne
ḳhākistar-e-dil meñ to na thā ek sharar bhī
bekār use barbād kiyā mauj-e-sabā ne