kahāñ tāqat ye ruusī ko kahāñ himmat ye german ko
ki dekhe chashm-e-kaj se bhī mirī shāḳh-e-nasheman ko
vafā-dushman ye aalam ab to hai terī navāzish se
ki rahm aane lagā merī zabūñ-hālī pe dushman ko
na ab sayyād kā khaTkā na ab gulchīñ kā andesha
karam ne bāġhbāñ ke phūñk Daalā mere gulshan ko
bhalā in bijliyoñ kī sho.ala-sāmānī ko kyā kahiye
jinhoñ ne TukḌe TukḌe kar diyā ho dasht-e-aiman ko
uThā.e haiñ ye fitne nargas-e-ġhammaz ne varna
na but se shaiḳh ko zid hai na ka.abe se barahman ko
lagāvaT kā ye fan bād-e-sahar ne mujh se sīkhā hai
guloñ ko gudgudāyā aur na lipTe ḳhaar dāman ko