Iqbal Suhail

ab dil ko humne banda-e-jaanan bana diya

Iqbal Suhail

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1885-1955
ab dil ko ham ne banda-e-jānāñ banā diyā
ik kāfir-e-azal ko musalmāñ banā diyā
dushvāriyoñ ko ishq ne āsāñ banā diyā
ġham ko surūr dard ko darmāñ banā diyā
is jāñ-fazā itaab ke qurbān jā.iye
abrū kī har shikan ko rag-e-jāñ banā diyā
barq-e-jamāl-e-yār ye jalva hai yā hijāb
chashm-e-adā-shanās ko hairāñ banā diyā
ai zauq-e-jushtujū tirī himmat pe āfrīñ
manzil ko har qadam pe gurezāñ banā diyā
uTThī thī bahr-e-husn se ik mauj-e-be-qarār
fitrat ne is ko paikar-e-insāñ banā diyā
ai soz-e-nā-tamām kahāñ jaa.e ab ḳhalīl
ātish-kade ko bhī to gulistāñ banā diyā
vāraftgān-e-shauq ko kyā dair kyā haram
jis dar pe dī sadā dar-e-jānāñ banā diyā
aañsū kī kyā bisāt magar josh-e-ishq ne
qatre ko mauj mauj ko tūfāñ banā diyā
kyā ek maiñ hī maiñ huuñ is ā.īna-ḳhāne meñ
mujh ko to kashf-e-rāz ne hairāñ banā diyā
Top Urdushayar.com