Iqbal Suhail

asiron mein bhi ho jaen jo kuchh aashufta-sar paida

Iqbal Suhail

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1885-1955
asīroñ meñ bhī ho jaa.eñ jo kuchh āshufta-sar paidā
abhī dīvār-e-zindāñ meñ huā jaatā hai dar paidā
kiye haiñ chāk-e-dil se bū-e-gul ne bāl-o-par paidā
havas hai zindagānī kī to zauq-e-marg kar paidā
ye musht-e-ḳhāk agar kar le par-o-bāl-e-nazar paidā
to auj-e-lā-makāñ tak hoñ hazāroñ rahguzar paidā
jamāl-e-dost pinhāñ parda-e-shams-o-qamar paidā
yahī parde to karte haiñ taqāzā-e-nazar paidā
mohabbat tere sadqe tū ne kar dī vo nazar paidā
jidhar āñkheñ uThīñ hotā hai husn-e-jalvagar paidā
shab-e-ġham ab manā.e ḳhair apne jeb o dāman kī
rahe dast-e-junūñ baaqī to kar leñge sahar paidā
mazāq-e-sar-bulandī ho to phir dair o haram kaise
jabīñ-sā.ī kī fitrat ne kiye haiñ sañg-e-dar paidā
nisār is lan-tarānī ke ye kyā kam hai sharaf us kā
dil-e-ḳhuddār ne kar lī nigāh-e-ḳhud-nigar paidā
javāno ye sadā.eñ aa rahī haiñ ābshāroñ se
chaTāneñ chuur ho jaa.eñ jo ho azm-e-safar paidā
vo shabnam kā sukūñ ho yā ki parvāne kī betābī
agar uḌne kī dhun hogī to hoñge bāl-o-par paidā
'suhail' ab pūchhnā hai inqilāb-e-āsmānī se
hamārī shām-e-ġham kī bhī kabhī hogī sahar paidā
Top Urdushayar.com