na rahā zauq-e-rang-o-bū mujh ko
ab na chheḌ ai bahār tū mujh ko
ab agar haiñ kahīñ to deñ āvāz
kyuuñ phirāte haiñ kū-ba-kū mujh ko
ab kisī aur kī talāsh nahīñ
hai ḳhud apnī hī justujū mujh ko
na rahā koī taar dāman meñ
ab nahīñ hājat-e-rafū mujh ko
haa.e us vaqt hāl-e-dil pūchhā
jab na thī tāb-e-guftugū mujh ko