Iqbal Suhail

wo samne jab aa jate hain sakte ka sa aalam hota hai

Iqbal Suhail

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1885-1955
vo sāmne jab aa jaate haiñ sakte kā sā aalam hotā hai
us dil kī tabāhī kyā kahiye amrit bhī jise sam hotā hai
dete haiñ usī ko jām-e-tarab jo jur.a-kash-e-ġham hotā hai
kab bāġh-e-jahāñ haiñ ḳhanda-e-gul be-girya-e-shabnam hotā hai
jab valvala sādiq hotā hai jab azm musammam hotā hai
takmīl kā sāmāñ ġhaib se ḳhud us vaqt farāham hotā hai
anjām-e-vafā bhī dekh liyā ab kis liye sar ḳham hotā hai
nāzuk hai mizāj-e-husn bahut sajde se bhī barham hotā hai
ye aag dahaktī hai jitnī utnā hī dhuāñ kam detī hai
ehsās-e-sitam baḌh jaatā hai to shor-e-fuġhāñ kam hotā hai
rag rag meñ nizām-e-fitrat kī raqsāñ hai mohabbat kī bijlī
ho laakh tazād azdād meñ bhī ik rābta bāham hotā hai
mil-jul ke ba-rañg-e-rañg-e-shīr-o-shakar donoñ ke nikharte haiñ jauhar
dariyāoñ ke sañgam se baḌh kar tahzīboñ kā sañgam hotā hai
tārāj nasheman khel sahī sayyād magar itnā sun le
jab ishq kī duniyā luTtī hai ḳhud husn kā mātam hotā hai
dīvānoñ ke jeb-o-dāman kā uḌtā hai fazā meñ jo TukḌā
mustaqbil-e-millat ke haq meñ iqbāl kā parcham hotā hai
mansūr jo hotā ahl-e-nazar to dāva-e-bātil kyuuñ kartā
us kī to zabāñ khultī hī nahīñ jo raaz kā mahram hotā hai
tā-chand 'suhail' afsurda-e-ġham kyā yaad nahīñ tārīḳh-e-haram
īmāñ ke jahāñ paḌte haiñ qadam paidā vahīñ zamzam hotā hai
Top Urdushayar.com