uf kyā mazā milā sitam-e-rozgār meñ
kyā tum chhupe the parda-e-lail-o-nahār meñ
sau sajde ek laġhzish-e-mastāna-vār meñ
allāh kyā adā hai tire bāda-ḳhvār meñ
rokūñ to mauj-e-ġham ko dil-e-be-qarār meñ
sāġhar chhalak na jaa.e kaf-e-rāsha-dār meñ
kis se ho phir ummīd ki tār-e-nazar mirā
ḳhud jā ke mil gayā saf-e-mizhgān-e-yār meñ
ḳhud husn be-niyāz nahīñ faiz-e-ishq se
ḳhū mere dil kī hai nigah-e-be-qarār meñ
vo mast-e-nāz husn maiñ sarshār-e-ārzū
vo iḳhtiyār meñ haiñ na maiñ iḳhtiyār meñ
āshob-e-iztirāb meñ khaTkā jo hai to ye
ġham terā mil na jaa.e ġham-e-rozgār meñ
baaqī rahā na koī gila vaqt-e-vāpsīñ
kyā kah ga.e vo ik nigah-e-sharmsār meñ
ik mashq-e-iztirāb kā rakkhā hai naam ishq
uf bekasī ki vo bhī nahīñ iḳhtiyār meñ
bazm-e-suḳhan meñ aag lagā dī 'suhail' ne
kyā bijliyāñ thiiñ ḳhāma-e-jādū-nigār meñ