zindāñ-nasīb huuñ mire qaabū meñ sar nahīñ
merā sujūd un ke liye mo'atabar nahīñ
kyā hai fareb nargas-e-ġhammaz agar nahīñ
be-vaj.h tū kashākash-e-qalb-o-jigar nahīñ
taqsīm-e-gul pe bahs anādil meñ chhiḌ ga.ī
gulzār luT rahā hai kuchh us kī ḳhabar nahīñ
lazzat-shanās-e-ġham ko hai iz.hār-e-ġham harām
rotā huuñ aur dāman-e-mizhgāñ bhī tar nahīñ
mere sujūd-e-shauq se ho jaa.e be-niyāz
itnā buland hausla-e-sañg-e-dar nahīñ
yuuñ bāġhbāñ ne himmat-e-parvāz chhīn lī
aisī bharī bahār hai aur ek par nahīñ
tahsīn-e-nā-shanās kā bhūkā nahīñ 'suhail'
maiñ ābrū-farosh-e-matā-e-hunar nahīñ