Iqbal Suhail

ye itr be-ziyan nahin nasim-e-nau-bahaar ki

Iqbal Suhail

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1885-1955
ye itr be-ziyāñ nahīñ nasīm-e-nau-bahār kī
uḌā ke laa.ī hai sabā shamīm zulf-e-yār kī
bas itnī kā.enāt hai hayāt-e-musta.ār kī
shabāb hai habāb kā bahār hai sharār kī
fareb-kāriyāñ na pūchh josh-e-intizār kī
tamām shab sunā kiye sadā ḳhirām-e-yār kī
ye muḳhtasar sī dāstāñ hai jabr-o-iḳhtiyār kī
karishma-sāz koī ho ḳhatā gunāhgār kī
haqīqat-e-fareb-e-husn aalam āshkār kī
ye ibtidā-e-fatah hai junūn-e-puḳhta-kār kī
mujhe to aañkh khulte hī qafas kī tīliyāñ milīñ
mirī balā se gar chaman meñ fasl hai bahār kī
tire nisār zaḳhm-e-ishq kuchh vo lazzateñ milīñ
balā.eñ le rahā hai dil ḳhadañg-e-jāñ-shikār kī
rah-e-talab kī lazzateñ haiñ aur himmat āfrīñ
ye talḳhiyāñ haiñ talḳhiyāñ sharāb-e-ḳhush-gavār kī
'suhail' terī shā.irī hai yā fusūn-e-sāmarī
ravāniyāñ haiñ nazm meñ ḳhirām-e-jū-e-yār kī
Top Urdushayar.com