aañkh paḌte hī na thā naam shakebā.ī kā
dar-e-mai-ḳhāna thā naqsha tirī añgḌā.ī kā
mā-sivā us ke nahīñ jis kā koī aur sharīk
kaun batlā.egā aalam mirī tanhā.ī kā
pāk-dāmānī-e-yūsuf thī zuleḳhā kī sazā
rāsta chaak se paidā huā rusvā.ī kā
saḳhtiyāñ himmat-e-dil ho to badal jaatī haiñ
maut ik khel hai lekin tire shaidā.ī kā
ham ko un mai-kada-e-dahr se ummīd nahīñ
sāġhar ulTā huā hai gumbad-e-mīnā.ī kā
tār-e-malbūs meñ thī yā ḳhat-e-taqdīr meñ thī
haal khultā nahīñ yāqūb kī bīnā.ī kā
aane de niiñd to sab so.eñ magar ai tauba
nāla-e-ishq kā is par shab-e-tanhā.ī kā
dil-e-nāzuk mutahammil nahīñ ġham ho ki surūr
phuul maqtūl hai ḳhud apnī hī ra.anā.ī kā
na huā vasl-e-tamannā na ghaTī vahshat-e-dil
kyā natīja thā mirī bādiya-paimā.ī kā
vo na aa.eñ sar-e-bālīñ ki maiñ bachne kā nahīñ
dam na TuuTe mire saath in kī masīhā.ī kā
aa.ina jis meñ sadā Duub ke ubhrā kyā husn
ek Thahrā huā paanī hai ḳhud-ārā.ī kā
saath dene kā to ehsān hai mujh par lekin
sham.a ne naam Duboyā mirī tanhā.ī kā
husn ke haath bañdhe to vo zarā der sahī
mujh par ehsāñ tirī aa.ī huī añgḌā.ī kā
us ke sunñe ke liye jam.a huā hai mahshar
rah gayā thā jo fasāna mirī rusvā.ī kā
shauq-e-pā-bosī-e-mahbūb thā varna 'sāqib'
sañg-e-dar par koī mauqa thā jabīñ-sā.ī kā