Ahmad Shahryar

kun-fayakun ka hasil yani miTTi aag hawa aur pani

Ahmad Shahryar

Quetta, Balochistan, Pakistan

1983
kun-fayakūñ kā hāsil ya.anī miTTī aag havā aur paanī
pal meñ baqā kā pal meñ faanī miTTī aag havā aur paanī
nagrī nagrī phirtī haiñ ye dīvāreñ bhī saath hī mere
karte haiñ merī nigrānī miTTī aag havā aur paanī
ḳhāk-basar huuñ shola-ba-jāñ huuñ āh-kunāñ huuñ ashk-fishāñ huuñ
dekh tū apnī kāristānī miTTī aag havā aur paanī
merā kyā hai mar jā.ūñgā chāroñ or bikhar jā.ūñgā
aap kahāñ jā.eñge jaanī miTTī aag havā aur paanī
maiñ kabhī sho.ala huuñ kabhī shabnam gaahe zaḳhm to gaahe marham
karte haiñ mujh meñ khīñchā-tānī miTTī aag havā aur paanī
maiñ ā.īna dekh rahā huuñ lekin ye kyā dekh rahā hai
merā aks pas-e-hairānī miTTī aag havā aur paanī
ishq kī nisbat se haiñ zinda sahrā sūraj bādal dariyā
ishq nahīñ to sab be-ma.anī miTTī aag havā aur paanī
Top Urdushayar.com