na.e zamānoñ kī chaap to sar pe aa khaḌī thī
mirī samā.at guzishta advār meñ paḌī thī
udhar diye kā badan havā se thā paara paara
idhar añdhere kī aañkh meñ ik kiran gaḌī thī
falak pe thā ātishīñ daraḳhtoñ kā ek jañgal
aur un daraḳhtoñ ke biich tārīk jhoñpaḌī thī
samā.ī kis tarah merī āñkhoñ kī putliyoñ meñ
vo ek hairat jo ā.īne se bahut baḌī thī
jise piroyā thā apne hāthoñ se tere ġham ne
sadā-e-girya meñ hichkiyoñ kī ajab laḌī thī
hamārī palkoñ pe raqs karte hue sharāre
aur āsmāñ meñ kahīñ sitāroñ kī phuljaḌī thī
tulū sub.h-e-hazār ḳhurshīd kī duā par
bujhe charāġhoñ kī raakh dāman pe aa paḌī thī
sabhī ġhamīñ the mire piyāle meñ zahr pā kar
maiñ mutma.in thā ki merī takmīl kī ghaḌī thī
savāl-e-ruḳh gulistāñ meñ aayā to phuul Thahrā
laboñ kī hasrat suḳhan meñ pahuñchī to pañkhuḌī thī
ye log to un dinoñ bhī nā-ḳhush the 'shahryārā'
ki jin dinoñ mere paas jaadū kī ik chhaḌī thī