phail rahā hai ye jo ḳhālī hone kā Dar mujh meñ
āḳhir-kār simaT aa.egā merā bāhar mujh meñ
ro dūñgā to ashk nahīñ āñkhoñ se ret bahegī
ḳhuun kahāñ kuchh sūkhe dariyā haiñ sahrā bhar mujh meñ
pahroñ jaltā rahtā huuñ maiñ jaise koī sūraj
ek kiran jab ruk jaatī hai tujh se chhan kar mujh meñ
tū maujūd hai maiñ ma.adūm huuñ is kā matlab ye hai
tujh meñ jo nāpaid hai pyāre vo hai mayassar mujh meñ
qatra Thiik hai dariyā hone meñ nuqsān bahut hai
dekh to kaise Duub rahā hai merā lashkar mujh meñ