rāz-e-darūn-e-āstīñ kashmakash-e-bayāñ meñ thā
aag abhī nafas meñ thī sho.ala abhī zabāñ meñ thā
vo jo kahīñ thā vo bhī maiñ aur jo nahīñ thā vo bhī maiñ
aap hī thā zamīn par aap hī āsmāñ meñ thā
lams-e-sadā-e-sāz ne zaḳhm nihāl kar diye
ye to vahī hunar hai jo dast-e-tabīb-e-jāñ meñ thā
ḳhvāb-e-ziyāñ haiñ umr kā ḳhvāb haiñ hāsil-e-hayāt
is kā bhī thā yaqīñ mujhe vo bhī mire gumāñ meñ thā
ḳhanjar o dashna o sināñ ye to bahāne haiñ miyāñ
aap na sharmsār hoñ zaḳhm sirisht-e-jāñ meñ thā
hadd-e-gumāñ se ek shaḳhs duur kahīñ chalā gayā
maiñ bhī vahīñ chalā gayā maiñ bhī guzishtagāñ meñ thā