ā.īna ban ke apnā tamāshā dikhā.eñ ham
yuuñ sāmne raheñ ki nazar bhī na aa.eñ ham
mumkin hai daur-e-jashn-e-charāġhāñ ho jab yahāñ
vo tīrgī baḌhe ki sahīfe jalā.eñ ham
darpesh hai guzishta rutoñ kā safar hameñ
hairat na kar ki lauT ke vāpas na aa.eñ ham
taufīq-e-sair-e-bāġh agar ho to ab kī shaam
dil kī jagah shajar pe parinde banā.eñ ham
ḳhāmosh ho raho ki sar-e-shahr-e-ārzū
uftād vo paḌī hai ki ab kyā batā.eñ ham