in.ikās-e-tishnagī sahrā bhī hai dariyā bhī hai
tar-ba-tar ye raushnī sahrā bhī hai dariyā bhī hai
aag par merā tasarruf aab par merī giraft
merī muTThī meñ abhī sahrā bhī hai dariyā bhī hai
jhiil meñ Thahrā huā hai us kā aks-e-ātishīñ
aa.ine meñ is ghaḌī sahrā bhī hai dariyā bhī hai
jal uTheñ yādoñ kī qindīleñ sadā.eñ Duub jaa.eñ
dar-haqīqat ḳhāmushī sahrā bhī hai dariyā bhī hai
zinda lauT aayā huuñ jañgal se to kyā jā-e-malāl
mere raste meñ abhī sahrā bhī hai dariyā bhī hai
koī ḳheme raakh kar de koī baazū chhīn le
ek sī ġhārat-garī sahrā bhī hai dariyā bhī hai
ret par rakhkhūñ tujhe yā bahte paanī meñ bahā.ūñ
dekh ai tishna-labī sahrā bhī hai dariyā bhī hai
tū bagūlā hai ki hai girdāb ai raqs-e-davām
faisla kar le abhī sahrā bhī hai dariyā bhī hai
dasht bhī us kī rivāyat meñ hai mauj-e-āb bhī
merī āñkhoñ kī namī sahrā bhī hai dariyā bhī hai
tū sambhālegā bhalā kaise ye saarī saltanat
'shahryār'-shā.erī sahrā bhī hai dariyā bhī hai