Ahmad Shahryar

KHush nahin aae bayaban meri virani ko

Ahmad Shahryar

Quetta, Balochistan, Pakistan

1983
ḳhush nahīñ aa.e bayābāñ mirī vīrānī ko
ghar baḌā chāhiye is be-sar-o-sāmānī ko
Dhaal duuñ chashma-e-pur-harf ko ā.īne meñ
apnī āvāz meñ rakh duuñ tirī hairānī ko
jāda-e-nūr ko Thokar pe sajātā huā maiñ
dekhtā rahtā huuñ rañgoñ kī pur-afshānī ko
sar-e-sahrā mirī āñkhoñ kā talātum jaagā
mauja-e-reg ne sarshār kiyā paanī ko
sajda-e-naqsh-e-kaf-e-pā-e-nigārāñ hī to hai
jis ne tābinda rakhā hai mirī peshānī ko
tujh se bhī kab huī tadbīr mirī vahshat kī
tū bhī muTThī meñ kahāñ bheñch sakā paanī ko
sard mausam ne ThiThurte hue sūraj se kahā
chādar-e-abr to hai Dhāñp le uryānī ko
'shahryār' apne ḳharābe pe hukūmat hai mirī
koī mujh sā ho to samjhe mirī sultānī ko
Top Urdushayar.com