duniyā se har rishta toḌā ḳhud se rū-gardānī kī
sirf tumhārā dhyān rakhā aur jiine meñ āsānī kī
majnūñ aur farhād hue jab ishq meñ sab barbād hue
tab jañgal ne kuuch kiyā sahrā ne naql-e-makānī kī
us kī mohnī sūrat jaise phūloñ kā āmeza hai
aur us kī āvāz hai goyā re-gā-mā-pā-dhānī kī
bhūlī-bisrī yaad ne jab daryāft kiyā ahvāl mirā
dil ne zaḳhm kalām kiyā āñkhoñ ne ashk-bayānī kī
ilm kā dam bharnā chhoḌo bhī aur amal ko bhuul bhī jaao
ā.īna-ḳhāne meñ ho sāhib fikr karo hairānī kī