ashk bhejeñ mauj ubhāreñ abr jaarī kījiye
mehrbāñ sail-e-balā kī ābyārī kījiye
ai charāġh-e-tāq-e-jānāñ ai havā-e-kū-e-dost
apnī kaifiyyat zarā ham par bhī taarī kījiye
shām-e-hijrāñ meñ sitāroñ ko na Thahrā.eñ sharīk
ā.īna-ḳhāne meñ aa kar ḳhud-shumārī kījiye
ashk-bārī sīna-chākī dil-ḳharāshī ho chukī
liije sāhib ishq kā farmān jaarī kījiye
hoñT kahte haiñ bahā diije lahū ash.ār meñ
zulf kahtī hai miyāñ tarkīb bhārī kījiye
dekhiye maah o sitāra ghūmiye arz o samā
chaliye bāhar bād-e-ḳhud-sar kī savārī kījiye
ishq kā aglā paḌāv maiñ huuñ maiñ duniyā-parast
al-madad ai qais ai farhād yaarī kījiye
yuuñ to malne se rahī ye saltanat so shahryār
paañv paḌ kar roiye minnat-gizārī kījiye