ġhubār-e-vaqt ke gar ār-pār dekhiyegā
to ek pal meñ mirā shahsavār dekhiyegā
maiñ ek baar use pherūñgā apnī gardan par
aur aap bas mire ḳhanjar kī dhaar dekhiyegā
kisī kā naqsh nahīñ bāñdhi.yegā āñkhoñ meñ
jise bhī dekhiye ā.īna-vār dekhiyegā
kabhī na lauT ke ā.eñge aap jāntā huuñ
par aa.iye to mirā intizār dekhiyegā
na dastakeñ na sadā kaun dar pe aayā hai
faqīr-e-shahr hai yā shahryār dekhiyegā