gumān ke liye nahīñ yaqīn ke liye nahīñ
ajiib rizq-e-ḳhvāb hai zamīn ke liye nahīñ
ḳhayāl jo qadam-kushā hai tere lā-shu.ūr meñ
ġhazāl hai magar sabuktagīn ke liye nahīñ
havā.eñ gosh-bar-sadā haiñ kis ke baab meñ ḳhamosh
nahīñ diye kī āya-e-mubīn ke liye nahīñ
use chhupāo kushtagāñ ke dil meñ raaz kī tarah
ye teġh-e-ābdār āstīn ke liye nahīñ
maiñ ek būḌhe falsafī ke ḳhvāb kā amiin huuñ
mire laboñ kī sāḳht añgbīn ke liye nahīñ
kamand ko kamān ko abhī se tah na kījiye
ki ye shikār ke liye haiñ ziin ke liye nahīñ
jo tiir uḌ chalā hai vo mire liye hai 'shahryār'
yasār ke liye nahīñ yamīn ke liye nahīñ