Ahmad Shahryar

yaadon ki tajsim pe mehnat hoti hai

Ahmad Shahryar

Quetta, Balochistan, Pakistan

1983
yādoñ kī tajsīm pe mehnat hotī hai
bekārī bharpūr mashaqqat hotī hai
aisā ḳhālī aur itnā gunjān ābād
ā.īne ko dekh ke hairat hotī hai
dīvāroñ kā apnā sahrā hotā hai
aur kamroñ kī apnī vahshat hotī hai
us ko yaad karo shiddat se yaad karo
is se tanhā.ī meñ barkat hotī hai
bachpan jauban aur buḌhāpā aur phir maut
sab chalte rahne kī aadat hotī hai
jiinā to bas lafz hai ik be-ma.anī lafz
maut se pahle maut kī fursat hotī hai
aisī āzādī ab aur kahāñ hogī
ishq meñ sab karne kī ijāzat hotī hai
aañsū motī jugnū taara sūraj chāñd
har qatre kī apnī qismat hotī hai
Top Urdushayar.com