Ahmad Shahryar

wo mar gaya sada-e-nauha-gar mein kitni der hai

Ahmad Shahryar

Quetta, Balochistan, Pakistan

1983
vo mar gayā sadā-e-nauha-gar meñ kitnī der hai
ki sāneha to ho chukā ḳhabar meñ kitnī der hai
hamāre shahr kī rivāyatoñ meñ ek ye bhī thā
duā se qabl pūchhnā asar meñ kitnī der hai
muqābla hai raqs kā bagūlā kab kā aa chukā
magar patā nahīñ abhī bhañvar meñ kitnī der hai
ḳhudā-e-mahr āsmāñ ujaal de ki yuuñ na ho
diye ko pūchhnā paḌe sahar meñ kitnī der hai
hazār kuufa o halab guzar rahe haiñ roz o shab
maiñ jis taraf chalā huuñ us nagar meñ kitnī der hai
ḳhirad kī tez dhuup meñ junūñ kā sā.ebāñ khilā
maiñ biij bo chukā so ab shajar meñ kitnī der hai
abhī hameñ guzārnī hai ek umr-e-muḳhtasar
magar hamārī umr-e-muḳhtasar meñ kitnī der hai
Top Urdushayar.com