harīm-e-dil meñ utartī haiñ āyateñ us kī
lahū bhī karne lagā hai tilāvateñ us kī
qarīb thā to rag-e-jāñ se bhī qarīb rahā
bichhaḌ ke tā-ba-falak haiñ masāfateñ us kī
huī hai shāḳh-e-dil-o-jāñ pe ḳhvāhishoñ kī numū
lahū ke phuul khilā.eñgī qurbateñ us kī
isī umiid pe ḳhvāboñ kī fasl boī hai
ki kisht-e-dil meñ ugeñgī bashārateñ us kī
ḳhayāl rañg huā chāñdnī shafaq ḳhushbū
hazār rañg meñ dekhūñ maiñ sūrateñ us kī
numū-pazīr huuñ mujh ko na chhoḌ ai dhartī
mirī jaḌoñ ko abhī haiñ zarūrateñ us kī
lahū to jam gayā āñkhoñ kī putliyoñ meñ 'shakeb'
dikhā.eñ aks bhalā kyā basārteñ us kī