Ragib Shakeb

KHwahishon ko sar pe lade yun safar karne lage

Ragib Shakeb

ḳhvāhishoñ ko sar pe laade yuuñ safar karne lage
log apnī zaat ko zer-o-zabar karne lage
is junūñ kā is se behtar aur kyā hogā sila
ham ḳhud apne ḳhuun se dāman ko tar karne lage
dhuup meñ jalte rahe haiñ sarv kī sūrat magar
ye ġhazab hai chāñd par phir bhī nazar karne lage
dostoñ ne tohfatan baḳhshe jo zaḳhmoñ ke gulāb
un kī bū mahsūs ham āThoñ-pahar karne lage
yuuñ badan meñ ḳhuun ko azm-e-safar kā ho junūñ
dil ke dariyā meñ vo phir paidā bhañvar karne lage
reza reza ho na jaa.eñ aks shīshoñ ke kabhī
ab talāsh-e-sañg ḳhud hī shīshagar karne lage
phūl-pattoñ kā unheñ phir hosh kyā baaqī rahe
jin daraḳhtoñ ko havā zer-o-zabar karne lage
zindagī hai bojh gar ḳhud ko badal kuchh is tarah
zindagī tere liye ḳhud hī safar karne lage
baḌh gayā hai is qadar ehsās-e-mahrūmī 'shakeb'
log apnī zaat se kaT kar guzar karne lage
Top Urdushayar.com