vo to mujh meñ hī nihāñ thā mujhe ma.alūm na thā
ḳhuun ban kar vo ravāñ thā mujhe ma.alūm na thā
itne majrūh the jazbāt hamāre jis par
charḳh bhī mahv-e-fuġhāñ thā mujhe ma.alūm na thā
pyaas shiddat kī thī sahrā bhī taḌap jaatā thā
imtihāñ sar pe javāñ thā mujhe ma.alūm na thā
pair to pair yahāñ ruuh ke chhāle nikle
duur itnā bhī makāñ thā mujhe ma.alūm na thā
dil bhī hotā hai sunā karte the har siine meñ
dard bhī us meñ nihāñ thā mujhe ma.alūm na thā
ishq ke bahr meñ ġhota to lagāyā lekin
ba.ad meñ us ke kahāñ thā mujhe ma.alūm na thā
fitna-gar lūTne vaalā sar-e-bāzār yahāñ
itnā shīrīn-zabāñ thā mujhe ma.alūm na thā
husn-e-ulfat ko samā.e hue siine meñ 'nisār'
dil meñ ik dard javāñ thā mujhe ma.alūm na thā