maqām-e-hijr kahīñ imtihāñ se ḳhālī hai
kahīñ zamīñ bhī kisī āsmāñ se ḳhālī hai
nashāt-e-ġham meñ to dard-e-nihāñ talāsh na kar
nashāt-e-ġham kabhī dard-e-nihāñ se ḳhālī hai
urūj-e-ġham mire soz-e-jigar se aa pūchhā
maqām-e-dil kahīñ soz-e-nihāñ se ḳhālī hai
ḳhayāl us kā maiñ shāyad samajh nahīñ paayā
mirā ḳhayāl to ishq-e-butāñ se ḳhālī hai
ik aisī baat hī taskīn-e-qalb baḳhshe hai
'nisār' dil mirā vahm-o-gumāñ se ḳhālī hai