Ahmed Nisar

ishq mein barbaad hone ke siwa rakkha na tha

Ahmed Nisar

ishq meñ barbād hone ke sivā rakkhā na thā
ġham ko sahne ke alāva koī bhī chāra na thā
yaad rah rah kar kisī kī hai satātī raat bhar
sub.h hote bhuul jaanā ye tujhe sheva na thā
ye tirī ulfat mujhe rakhtī hai betābī meñ gum
ye sabhī ko thī ḳhabar lekin koī charchā na thā
ā.īna dekhūñ to kyuuñ tū hī nazar aa.e mujhe
boltā hai kyā tirā chehra mere jaisā na thā
din guzar jaatā hai duniyā kī masāfat meñ magar
raat hī ik imtihāñ hai jis kā andāza na thā
raat kī tanhā.iyāñ āġhosh meñ le kar mujhe
pūchhtī haiñ kyā kabhī tanhā.iyāñ dekhā na thā
kyā mohabbat vo nasha hai maiñ zarā jānūñ 'nisār'
zindagī meñ is tarah pahle kabhī bahkā na thā
Top Urdushayar.com