rishta-e-dil usī se miltā hai
jo koī sādgī se miltā hai
baiTh jaatā hai dil mirā aksar
jab koī bebasī se miltā hai
haa.e afsos merā rasta bhī
bevafā kī galī se miltā hai
rāz-e-dil kyā sunā gayā us ko
tab se vo be-dilī se miltā hai
umr bhar jo mujhe satā.egā
har ghaḌī be-kalī se miltā hai
bhuul paanā jise nahīñ mumkin
phuul ban kar hañsī se miltā hai
jis ke dil meñ jagah nahīñ merī
merā dil bhī usī se miltā hai
hāl-e-dil ab zabāñ nahīñ kahtī
aañkh kī is tarī se miltā hai
kyā 'nisār' āj-kal koī lamha
aap se bhī ḳhushī se miltā hai