ġham kā pahāḌ mom ke jaise pighal gayā
ik aag le ke ashkoñ kī sūrat nikal gayā
ḳhush-fahmiyoñ ko soch ke maiñ bhī machal gayā
jaise khilaunā dekh ke bachcha bahal gayā
kal tak to kheltā thā vo sho.aloñ se aag se
nā jaane aaj kaise vo paanī se jal gayā
jhulse badan ko dekh ke katrā rahā hai vo
jis ke maiñ ghar kī aag bujhāne meñ jal gayā
bārish huī ġhamoñ kī to āñkhoñ kī siip meñ
aañsū kā qatra palkoñ se girte sambhal gayā
vaise sabhī to ziist se dāman bachā liye
vo kaun hai jo maut se bach kar nikal gayā
taqdīr so na jaa.e kahīñ jāgiye zarā
dekho taraqqiyoñ kā bhī sūraj nikal gayā
gar ho sake to aap bhī badlo miyāñ 'nisār'
kahnā paḌe na ye ki zamāna badal gayā