na koī naqsh na paikar sarāb chāroñ taraf
tamām dasht asīr-e-azāb chāroñ taraf
masīh-e-vaqt ab aa.e to bas ḳhudā aa.e
payambaroñ kī zamīñ aur azaab chāroñ taraf
maiñ bīchoñ-bīch khaḌā huuñ sulagte jañgal meñ
hisār bāñdhe hue āftāb chāroñ taraf
hamāre naam likhī jā chukī thī rusvā.ī
hameñ to honā thā yuuñ bhī ḳharāb chāroñ taraf
fasīl-e-dard se yādoñ kī dhuup Dhaltī huī
bikharte TūTte rañgoñ kā ḳhvāb chāroñ taraf
'mujībī' kam nahīñ 'fikrī' kī dostī kī panāh
agarche dushman-e-jāñ be-hisāb chāroñ taraf