bikhartī TūTtī shab kā sitāra rakh liyā maiñ ne
mire hisse meñ jo aayā ḳhasāra rakh liyā maiñ ne
hisāb-e-dostāñ karte to harf aatā ta.alluq par
uThā rakkhā use aur goshvāra rakh liyā maiñ ne
judā.ī to muqaddar thī mujhe ehsās thā lekin
kaf-e-ummīd par phir bhī sharāra rakh liyā maiñ ne
zarā sī buuñd jo raushan hai ab tak ḳhalvat-e-dil meñ
charāġh-e-shām terā isti.āra rakh liyā maiñ ne
mirī āñkhoñ meñ jo sayyāl ā.īnoñ ke TukḌe haiñ
unhīñ TukḌoñ pe maqtal kā nazāra rakh liyā maiñ ne
ḳhushī ḳhairāt kar dī aur zamāne bhar ke ranj o ġham
mire dil ko huā jitnā gavāra rakh liyā maiñ ne
mirī dariyā-dilī ne bhar diyā kaasa samundar kā
badan par ret hāthoñ meñ kināra rakh liyā maiñ ne