maiñ bhī āvāra huuñ tere saat āvāra havā
lā tū mere haath meñ de haat āvāra havā
jañgalī phūloñ kī ḳhushbū raqs sarshārī shabāb
nazr kar mujh ko bhī kuchh sauġhāt āvāra huā
ek sarshārī hai jism o ruuh par chhā.ī huī
reza reza āsmāñ barsāt āvāra havā
us ḳharābe meñ bhī ik jannat banā lī hai jahāñ
ek maiñ huuñ ik ḳhudā kī zaat āvāra havā
yaad aatā hai kapāsī bādaloñ kā sā.ebāñ
jagmagāte manzaroñ kī raat āvāra havā
be-panāhī zehn kī qindīl-e-dānish bhī siyāh
rū-ba-rū hadd-e-nazar zulmāt āvāra havā
dil ke darvāze se lag kar chup khaḌā rahtā hai ġham
kis se kahiye apne jī kī baat āvāra havā
sar-kashī zinda rahe lekin 'mujībī' soch le
ek musht-e-ḳhāk kī auqāt āvāra havā