Siddique Mujibi

aag dekhun kabhi jalta hua bistar dekhun

Siddique Mujibi

Ranchi, Jharkhand, India

1931-2014
aag dekhūñ kabhī jaltā huā bistar dekhūñ
raat aa.e to yahīñ ḳhvāb-e-mukarrar dekhūñ
ek bechain samundar hai mire jism meñ qaid
TuuT jaa.e jo ye dīvār to manzar dekhūñ
raat gahrī hai bahut raaz na degī apnā
maiñ to sūraj bhī nahīñ huuñ ki utar kar dekhūñ
ḳhud pe kyā biit ga.ī itne dinoñ meñ tujh bin
ye bhī himmat nahīñ ab jhāñk ke andar dekhūñ
koī is daur meñ elān-e-nabūvat kartā
aarzū thī ki ḳhudā-sāz payambar dekhūñ
ek sannāTā huuñ patthar ke jigar meñ paivast
maiñ koī but to nahīñ huuñ ki nikal kar dekhūñ
yuuñ nashe se kabhī do chaar tirā ġham ho ki maiñ
band āñkhoñ se khulī aañkh kā manzar dekhūñ
oḌh kar ḳhaak 'mujībī' sunūñ dushnām-e-jahāñ
ye tamāshā hī kisī roz miyāñ kar dekhūñ
Top Urdushayar.com