sharīk-e-ġham koī kab mo'atabar nikaltā hai
sivā.e dal ke so vo be-ḳhabar nikaltā hai
ye kaisā shahr hai kaisī hai sar-zamīñ us kī
jahāñ kī ḳhaak palaTtā huuñ sar nikaltā hai
jidhar haiñ pyāse udhar bārisheñ haiñ tīroñ kī
jidhar ġhanīm hai dariyā udhar nikaltā hai
use ḳhabar hai ki zulmat hai saf-ba-saf har-sū
ujālā haath meñ le kar sipar nikaltā hai
hafīz hāthoñ kā saaya hai sā.ebāñ jaisā
yaqīn hotā hai dil ko na Dar nikaltā hai
ajiib dhund hai dasht-e-safar pe chhā.ī huī
na ḳhatm hotā hai rasta na ghar nikaltā hai
'mujībī' sauñp dī jis ko matā-e-jāñ maiñ ne
usī kā qarz mire naam par nikaltā hai