mire chehre se ġham ā.ankhoñ se hairānī na jā.egī
yahī sūrat rahegī aur pahchānī na jā.egī
tumhārā jhuuT mere sach kā qātil hai magar duniyā
tumhārī maan jā.egī mirī maanī na jā.egī
anā sar chaḌh ga.ī hai ik bagūle kī tarah aisī
ki sar jā.egā ik din ḳhū-e-uriyānī na jā.egī
tumhāre paas zanjīreñ hamāre dast o pā zaḳhmī
lahū zinda hai jab tak apnī man-mānī na jā.egī
mirā dukh bhī navishta hai mirī taqdīr kā shāyad
jo maiñ gul huuñ to merī chāk-dāmānī na jā.egī
sabā āvāra phirtī hai navāh-e-jāñ meñ barsoñ se
ye vo ḳhitta hai jis se us kī vīrānī na jā.egī
qalam dil meñ Dubo kar bhī 'mujībī' kuchh na haath aayā
ye vo ehsās hai jis kī pashemānī na jā.egī