Siddique Mujibi

mauj-e-KHayal-e-yar gham-e-asar aai hai

Siddique Mujibi

Ranchi, Jharkhand, India

1931-2014
mauj-e-ḳhayāl-e-yār ġham-e-āsār aa.ī hai
kyuuñ chāhatoñ ke biich ye dīvār aa.ī hai
ik buuñd haath aa.ī hai patthar nichoḌ kar
āñkhoñ se lab pe quvvat-e-iz.hār aa.ī hai
ham dushmanoñ meñ apnī zabāñ haar aa.e haiñ
jab haath kaT chuke haiñ to talvār aa.ī hai
kyuuñ āsmāñ ne dast-e-tahī phir kiyā darāz
kyuuñ dhuup zer-e-sāya-e-dīvār aa.ī hai
sūraj jhulas gayā hai har ik shāḳh-e-jism-o-jāñ
din Dhal gayā to ghar meñ shab-e-tār aa.ī hai
be-saut thā 'mujībī' har ik naġhma-e-ḳhayāl
TuuTā jo dil to saaz kī jhankār aa.ī hai
Top Urdushayar.com