bhūlī-bisrī baat hai lekin ab tak bhuul na paa.e ham
muTThī bhar tāroñ kī ḳhātir apnā chāñd gañvā.e ham
ab to tumhāre hisse kā bhī pyaar hameñ karnā paḌtā hai
tum se sun kar jitne qisse yaad the sab dohrā.e ham
tum hote to betābī se ham ko lagā lete siine se
jin rātoñ meñ dukh jhele haiñ jin meñ rañj uThā.e ham
niiñd kahāñ ab to rahtī hai ā.ankhoñ meñ zahrāb kī dhund
miTTī kā dil chiir ke saare ḳhvāboñ ko daab aa.e ham
raat milī to de ga.ī ham ko thoḌī sī pahchān
sūraj sūraj din chamkā to ho ga.e aap parā.e ham
jhūTī sī ik aas pe shāyad pūchh le koī dil kā haal
chehre kā kashkol liye phirte haiñ ruup banā.e ham