Siddique Mujibi

zaban-e-KHalq ko chup aastin ko tar pa kar

Siddique Mujibi

Ranchi, Jharkhand, India

1931-2014
zabān-e-ḳhalq ko chup āstīñ ko tar pā kar
maiñ āb-dīda havā ḳhuuñ ko dar-ba-dar pā kar
ye kis ke qurb kī ḳhushbū basī hai sāñsoñ meñ
ye mujh se kaun milā mujh ko be-ḳhabar pā kar
safar kī shart kabhī is qadar kaḌī kab thī
thakan kuchh aur baḌhī sāya-e-shajar pā kar
vo sabz-tan thā shafaq pairahan khulā us par
banā gulāb sā vo lams yak nazar pā kar
vo nā-shanās-e-tabī.at hai jāntā thā maiñ
vo hairatoñ meñ rahā teġh ko sipar pā kar
abhī abhī maiñ jise dafn kar ke lauTā huuñ
bahut ajiib lagā us ko apne ghar pā kar
Top Urdushayar.com