aarzū jiine kī thī imkān jiine kā na thā
ḳhvāhisheñ thiiñ saf-ba-saf sāmān jiine kā na thā
qarz thā terā so jīte-jī tujhe lauTā diyā
zindagī varna mujhe armān jiine kā na thā
dostī zahrāb se kī ranj-o-ġham se kī nibāh
varna ye māhaul merī jaan jiine kā na thā
zindagī tū chhoḌ merā saath maiñ be-zār huuñ
merā terā to koī paimān jiine kā na thā
maiñ ne hañsne kī aziyyat jhel lī royā nahīñ
ye salīqa bhī koī āsān jiine kā na thā
kuchh tirī rahmat pe takiya kuchh gunāhoñ kī kashish
varna us duniyā meñ to insān jiine kā na thā
zehn kī āvārgī minnat-kash-e-duniyā na thī
zindagī kā bhī 'mujībī' dhyān jiine kā na thā