Siddique Mujibi

ajib dhund hai aaankhon ko sujhta bhi nahin

Siddique Mujibi

Ranchi, Jharkhand, India

1931-2014
ajiib dhund hai ā.ankhoñ ko sūjhtā bhī nahīñ
abhī to din kā varaq Thiik se jalā bhī nahīñ
ye kis hisār meñ sāñsoñ ne kas diyā hai mujhe
ye kaisā ghar hai nikalne kā rāsta bhī nahīñ
ye kaisā dukh hai jo rotā hai siskiyāñ le kar
khañDar meñ kaun hai rū-posh boltā bhī nahīñ
ajiib dard kā rishta hai ik azaab hai ye
jise bhulā diyā maiñ ne vo bhūltā bhī nahīñ
mujhe bhī dekh mire hausle bhī dekh zarā
mirā to koī nahīñ tū nahīñ ḳhudā bhī nahīñ
har ek shab koī palkoñ ko aa ke siitā hai
vo merā kaun hai pūchhūñ to boltā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com