nairañg-e-jahāñ rañg-e-tamāshā hai to kyā hai
har ek qadam aag kā dariyā hai to kyā hai
ham dil ke musāhib haiñ har ik baat pe raazī
ik moḌ ġhalat raah meñ aayā hai to kyā hai
sau rañg ke dariyāoñ kā paanī hai nazar meñ
ab bādiya-paimā.ī-e-sahrā hai to kyā hai
ik dhund hai manzar se ziyāda pas-e-manzar
ik vahm par dil vālā-o-shaidā hai to kyā hai
jī leñ ki na jī paa.e ye hasrat to na hogī
qismat meñ fanā harf-e-navishta hai to kyā hai