Siddique Mujibi

be-karan samjha tha KHud ko kaise na-danon mein tha

Siddique Mujibi

Ranchi, Jharkhand, India

1931-2014
be-karāñ samjhā thā ḳhud ko kaise nā-dānoñ meñ thā
āsmāñ bikhrā to har-sū shabnamī dānoñ meñ thā
maiñ ne jis ziine pe rakkhā pā to mujh ko Das gayā
jab bhī daana maiñ ne pheñkā saañp ke ḳhānoñ meñ thā
phir koī mauj-e-balā kaise mirā sar le ga.ī
ai ḳhudā mere ḳhudā tū bhī nigahbānoñ meñ thā
ik lahū kī buuñd thī lekin ka.ī ā.ankhoñ meñ thī
ek harf-e-mo'tabar thā aur ka.ī ma.anoñ meñ thā
sochte haiñ kis tarah is shahr meñ jiite rahe
āstīñ meñ saañp the aur zahr paimānoñ meñ thā
jaane kaisī thī 'mujībī' aag us ke lams kī
jism kā sonā pighal kar sab mirī rānoñ meñ thā
Top Urdushayar.com