Siddique Mujibi

pyasa jo mere KHun ka hua tha so KHwab tha

Siddique Mujibi

Ranchi, Jharkhand, India

1931-2014
pyāsā jo mere ḳhuuñ kā huā thā so ḳhvāb thā
nīndoñ meñ zahr ghol rahā thā so ḳhvāb thā
kāñTā jo dil ke paar hai tābīr hai so ye
sahrā meñ ik gulāb khilā thā so ḳhvāb thā
ik iltijā thī āñkhoñ meñ pathrā ke rah ga.ī
ik aks sañg-e-dar pe khaḌā thā so ḳhvāb thā
pahle zamīn ḳhaak huī thī ba-sad-niyāz
shab bhar phir āsmān jalā thā so ḳhvāb thā
ik nahr thī jo chīḳh rahī thī bahāv se
lashkar kanār-e-āb khaḌā thā so ḳhvāb thā
bastī kā chashm-dīd akelā gavāh huuñ
kal mere ās-pās ḳhudā thā so ḳhvāb thā
Duubī zavāl-e-shām ke hamrāh har ummīd
palkoñ se TuuT kar jo girā thā so ḳhvāb thā
dil ko yaqīñ na zehn ke hadd-e-qayās meñ
jo vāqi.a 'mujībī' huā thā so ḳhvāb thā
Top Urdushayar.com