dil hī girdāb-e-tamannā hai yahīñ Dūbte haiñ
apne hī ġham meñ tire ḳhāk-nashīñ Dūbte haiñ
dil faqīrāna thā mahr o mah o anjum na bane
ḳhas kī mānind rahe ham ki nahīñ Dūbte haiñ
ham agar Duube to kyā kaun se aaise ham the
shahr ke shahr jahāñ zer-e-zamīñ Dūbte haiñ
apnī rūposhī tah-e-ḳhāk muqaddar hai to kyā
Dūbne ko to sitāre bhī kahīñ Dūbte haiñ
nāḳhudā ho ki ḳhudā dekhte rah jaate haiñ
kashtiyāñ Dūbtī haiñ us ke makīñ Dūbte haiñ
paar utarnā hai to kyā mauj-e-balā kām-e-nahañg
dosto aao chalo pahle hamīñ Dūbte haiñ
ishq vo bahr 'mujībī' hai ki dekhā ham ne
ḳhār-o-ḳhas paar hue ahl-e-yaqīñ Dūbte haiñ