Meem Hasan Lateefi

ghairon ka to kahna kya mahram se nahin kahta

Meem Hasan Lateefi

Ludhiana, Punjab, India

1905-1959
ġhairoñ kā to kahnā kyā mahram se nahīñ kahtā
maiñ ālam-e-ġham apnā aalam se nahīñ kahtā
paḌh letī haiñ kaifiyyat kuchh taḌpī huī nazreñ
dukh apne maiñ har chashm-e-pur-nam se nahīñ kahtā
rahgīr huuñ maiñ aisā har ġham se guzartā hai
dāvat pe jo rindān-e-ḳhurram se nahīñ kahtā
mausam hama-gardish hai pasmānda-e-gardish hai
lab-tishna koī ye shai kyuuñ jam se nahīñ kahtā
kasb-e-mut.harrik se pā-basta nasab tuġhre
ye kyā hai koī ahal-e-ḳhātam se nahīñ kahtā
aa dāġh-e-mohabbat ke sāñche meñ tujhe Dhālūñ
ḳhātam se maiñ kahtā huuñ dirham se nahīñ kahtā
kuchh baat thī kahne kī kuchh bhuul gayā ab maiñ
fitrat se nahīñ kahtā aadam se nahīñ kahtā
kahte to nahīñ bāvar nā kahiye to kāfir-tar
kahne kī qasam mujh ko maiñ dam se nahīñ kahtā
kahlāne meñ ḳhud un kā kuchh takmila nāras hai
ulTe unhīñ shikve haiñ kyuuñ ham se nahīñ kahtā
haañ merī ye uljhan to har dil meñ khaTaktī hai
kuchh muḌ ke koī zulf-e-barham se nahīñ kahtā
kyuuñ ho na junūñ kam-go jab hotā hai ye zīrak
dohrā.ī huī bāteñ mahram se nahīñ kahtā
kahne se huā gahrā kuchh aur ġham-e-pinhāñ
maiñ saa.e se kahtā huuñ hamdam se nahīñ kahtā
jis lamhe se dekhā hai ik sher sarāpā ko
dānista koī misra.a is dam se nahīñ kahtā
dete haiñ vo mahfil meñ yuuñ daad 'latīfī' ko
ash.ār ye kyā aksar mub.ham se nahīñ kahtā
Top Urdushayar.com